Saturday, March 14, 2009

meri beti

cham -cham karti payal ki chankar
jab bhi muskati wo har bar
thumak-thumak kar machal-machal kar
jetay sabka wo dular......................


par kia jab usne shringar
mang ma tha sajan ka pyar
jan na pae apne komal chanchal
man ka gharbar.................................


sapne ma dekha tha jo sansar
ussi ne bhej yum kay dwar
apne thay jo apne say
ban gaye bangar ka sapne..............................


jhulas-jhulas kay kalap-kalap kay
roti thi wo aasay
aakhay to sukhi hi rehti
par man mein tha aasu ka sailab................................


machal-machal kay hasti thi jo
sisak rahi thi ek kone ma
kahne ko to sab thay shayad
par wo hi thay pira ke rajad..................................


kahte khud ko thay insaan
par maya ki maya ma 
ban gaye thay haiwan
aant sanskar kar dia tha rishtoh ka
mar dia tha khud ka samman.....................................


tis si uuthi hai ye dekh
kahte jise shristi ki mata
karte hai unka hi sanghar...................................


sisak-sisak kar tarap-tarap kar
kahti sabse ek hi baat
le lo meri jaan jo chaho
maro na mujhko har bar...............................



cham-cham karti payal ki wo chankar
ban gae murdo aur asthio ka dwar...............

No comments:

Post a Comment