ye frustration hai bhai
ye baat samajh na aai
aadi raat tak daftar key panno mein uljhay rahna
waqt bahakar dil kay kamro ko khali rakhna
akelaypan ki chaar diwari
aur kandho par ye zimmedari
ye frustration h bhai
ye baat samajh na aaai
sandwich burger aur beer bar
roti kay sang nhi ab maa ka dular
ristey natay bhul gaye hai
tiyohar bhi ab karobar
badal dia is daur ney humko
aur kho dia apna sanskar
ye frustration h bhai
ye baat samajh na aai
kahne ko hum bade ho chuke
rone ko ab na taiyar
dard chupaye dil mein rahte
aur emotions ka ye atyachar
dost sare collagues ban chuke
aur pyare boss ki fatkar
ye frustration h bhai
ye baat samajh na aai
movie, masti aur awargi
bhata nhi ye sab bhi yar
shor gul aur ye sannata
sukun pane ki ye darkar
dhoond- dhoond kar thak gya hun
aur aanko mein na ninday char
sannata ek bhitar h mere
aur bahar ka ye jhoota pyar
ye frustration bhai
ye baat samajh na aai
khud say bebaak ye ladai
nakli parchai bhi saath hai aai
kyu mere swarth ka patra h ye
aur inke khohlay pan ki nib hun mai
ye jhoota jiwan ye nakli chola
kab na jane mere andar samaei
ye baat samajh na aai
ye frustration hai bhai.
ye baat samajh na aai.....
Real truth of life....
ReplyDeletewell said...keep it up..
ReplyDelete